JAY SIYARAM
Sabse pehle to ham ae samjenge ke mantra kya hai. Mantra kitne prakar ke hote hai aur kis tarah se apna prabhav dikhate hai. Mantra ek akshar ya ek se jyada akshar ke samuh se bante he. Vese to ye
bhi kaha ja sakta hai ki sare ke sare akshar mantra hai, kisi ne to yaha tak kaha hai ki shabd hi brahma hai. Isi liye hamare Rishione har prakar ke kam ke liye alag alag prakar ke mantra ki utpatti ki.
ab ham ye samjenge ki mantra apna prabhav kaise dikhata hai ya phir apna karya kaise karta hai.
Jab ham kisi devi ya devta ke mantra ka jap karte hai aur uska dhyan karte hai to usi devi ya devta ke gun aur shakti anshik rup se apse jud jati hai aur jis karya ko karne ke liye sadhak mantra jap kar raha hai uske liye sadhak to samarthya(ability) pradan karta hai. Jese ki agar aap SURYADEV ka mantra jap karte hai to nishchit roop se aap ke tej me vridhdhi hogi, aap sharirik tor healthy bante jayenge aur apki kirti me vridhdhi hogi.
No comments:
Post a Comment